Kausar k Saaqi ka wo Nawasa Hussain tha
karbala k dast main pyasa Hussain Tha
Baadal yazeediyat k jo phelay chaar su
Un main chamakta es sitara Hussain tha
karta wo kyse haath py bait yazeed k
Us waqt sab sy arfa-o-aala Hussain tha
Hilnay laga tha Arsh-e-Elahi bhi us ghari
jab karbala ki rait pe tarpa Hussain tha
Pardes main Shaheed jisay kar dia gaya
Wo Mustafa Ki aankhon ka taara Hussain tha.
No comments:
Post a Comment