Humny tou khair tujhse shikayet kabhi na ki
Aysa nahi k dil ny bhagawet kabhi na ki
Kiss haal mai hain tery chehny waaly
Tou nay yeh pochnay ki zehmet kabhi na ki
Chaha hai mai ny jis ko bari shiddaton k sath
Iss trah us nay mujh sy MOHABAT kabhi na ki
Her baat teri hum nay bari ghor sy sunni
Lakin bayan apni himet kabhi na ki
Ek aag thi k jis mai jalty rahy umer bhar
Ek dard tha k jis mai Khayanet kabhi na ki.
No comments:
Post a Comment