Jo Adhoori Reh Gayi thi wo kahani Sochna
Baith kr tanha Faqat batain purani sochna
Jub kisi sahil pay aa jaey meri yaad Tumhain
kiun jazeeron ki taraf rehta hai pani sochna
Tum ager bichharnay per hi khosh ho to chalo yun hi sahi
Baith kar tanha faqat shamain suhani sochna
Jub kabhi likhna kahani Zeest ky Mozu pe tum
kyon badal jatay hain lafazon k maani Sochna.
No comments:
Post a Comment