Main Jalwa-e-sadd rang hun ya Moaj-e-Saba hun
Ehsas ki chokhat pe khra soch rha hun
Ikk Jaam to pee lene de ae gardish-e-doraan
Phir tujh ko batata hun main kon hun kya hun
Tum yaad kro pehli Mulaaqat ki baatein
Main pehli mulaaqat zraa bhool gaya hun
So baar zamane ne mujhe zehar dia hai
So baar main sach bol ke Suqraat bna hun
Aksar usse paa lene ki umeed mein MOHSIN
Khud apne liye raah ki deewaar bna hun.
No comments:
Post a Comment