Bechar k tujh se yehi khud ko Saza Di main ne
teri talash main ak umar laga di main ne
Tujhe jo dil sy nilkala to yun laga jaise
apne andar koi dewaar gira di main ny
Gonge behron main rahy jaise koi nabinaa
zindagi tere bina aise bita di main ne
Jis ka har lafz adhora raha dost tum bin
zindagi aisi ak kitaab bana di main ne
Wasi us ko achanak se jo khoya to laga
zindagi ak hi lamhe main ganwa di main ny.
No comments:
Post a Comment